Saturday, 10 March 2012

Nange Paaon .. by Aisha Pirzada

raaste sare kaale naag aur taiz hawa
hathon main ek dia aur nannge paaon

in ankhon se un aankhon tak ka safar
sadion ka yeh fasla aur nange paaon

tapta sehra, khushk hont , aabla paa
tere yadain , me tanha aur nange paon

kanton bhara jangal, taar taar anchal
aisha , safar wapasi ka aur nange paon




Sunday, 1 January 2012

Imran Khan [ Pakistan tehreeke insaaf ] 1st jan 2012


Poetry for Imran Khan [ Pakistan Tehreek-e-Insaf (PTI) ]




Saron pe kafan bandh ke nikle hian
insaf ka parcham tham ke nikle hian


سروں پے کفن  باندھ کے نکلے ہیں 
انصاف کا پرچم تھام کے نکلے ہیں 




Koi To Ho Jo In Rasmoon Se Elaan-E-Bhagawat Kare
Kahin To Andhere Main Koi Chirag Jalana Chaahiy
e



کوئی تو ہو جو ان رسموں سے اعلان بغاوت کرے 
کہیں تو اندھیرے میں کوئی چراغ جلانا چاہیے

~~~~Waqas Hashmi~~~~~

Saturday, 10 December 2011

Baraf Baari ka Mousam by Waqas Hashmi


Har Saal Ki Trah
Baraf Bari Ka Mosuam
Iss Saal Bhi Aaya Tha
Magar Faraq Sirf Itna Tha
Ke Pichle Baras Hum Dono Sath The
Magar Aaj
Aaj Bhi Me Tanha Nahi Hon
Guzre Hue Kal Ki Tamam Yadain
Mere Saath Hian
Magar Yadaain,
"Tere Aaghosh Ki Garmi Ka Naimul Badal To Nahi"
by
waqas hashmi


Hum behisi ki miraaj pe puhanch gaye , mubarak ho ahle-e-watan

A Urdu poem written by waqas hashmi against the drone attacks in pakistan 10-12-11